Meri Toba Meri Toba
Meri Toba
Toba
Meri Toba Meri Toba
Meri Toba Toba
Tu Mauf karey ga
merey saarey gunah
Meri Toba
Tu mauf karey ga
merey saare gunah
Meri Toba
Tujhe maloom hai
mujrim hon mei
aur tu mera haakim
jabhi tho aaj meri aankh mei
ashkon ki hai rim jhim
Koi banda tere dar per
jo aanso rol deta hai
Merey maula dar Toba
tu os per khol deta hai
Tu zaroor suney ga
mere dil ki sada
Meri Toba....
tere dar pe
mey kyon nah sawal karon
Tu raheem bhi hai
Tu kareem bhi hai
Mei tabasm bhi hon
mei hakeer bhi hon
Tu buland bhi hai
Tu azeem bhi hai
Jo mey jhel chukaa
wo bohat hai sada
Meri Toba...
Gham kaa maara hon
be-sahaara hon
hon bura ya bhala
tumhara hon
Meri Toba
Merey gunah zyaada hain
ya teri rehmath
Kareem tu hee bata dey
hisaab kar ke mujhe
Meri Toba...
Mujhe kar dey mauf
apne rasool-e-pak ke sadqey
khataaein bhakhs dey meri
shah-e-lolaak ke sadqay
duhaai hai tujhe aale payamber ki
rihaa kar dey ghamo se
karbala ki khaak ke sadqay
karbala ki khaak ke sadqay
andheron mei mujhe taabindagi de dey
mere maula
naya mujh ko shaaoorey zindagi de dey
merey maula
Meri Toba....
No comments:
Post a Comment